Labbaik Ya Bibi Zainab (S.A)

Bint e Khaatoon e Jinaan, Bint e Ali hai Zainab,
Gulshan e Fatima Zahra ki kali hai Zainab. 

Kabhi Zahra, kabhi Haidar, kabhi Aagosh e Nabi,
Goya Quraan ki godi mein pali hai Zainab.

Jab bhi ye naam liya tall gayi har mushkil,
Ye tera naam hai ya Naad e Ali hai Zainab.





Salam Ya Bibi Zainab (S.A)
is Maheenay Mai Ai Wo Bint e Ali, 
Jis Nay Sab Ko Shanas e Ali Bakhsh Di

Apnay Khaliq Ki Zeenat Ki Zeenat Bani, 
Lafz e Baiyat Ko Shrmindagi Bakhsh Di

Wo Samad Zaat BeJism BeJaan Hai, 
Is Nay BeJaan Ko Jaan Bakhsh Di

Di Muhammad Ko Shabbir Nay Zindagi, 
Is Nay Shabbir Ko Zindagi Bakhsh Di

Kibriya Ki Sanaa, Deen Ki Baqa, 
Ye Farayez To Bibi K Mansab Mai Hain

Panjatan Mai Bhi Thay Paanch Nuqtay Magar, 
Paanch Nuqtay Akeeli Zainab Mai Hain.



تمام مؤمنین مل کر دعا کریں کے مولاتی السیدہ زینب س کا روضہ مبارک حفاظت میں رہے اور حزب اللہ اور شام کی فوج کو کامیابی نصیب ہو



امام حسن _مجتبیٰ علیہ السلام فرماتے ہیں 


" قریبی وہ ہوتا ہے جسے محبت قریب کر دے ، خواہ رشتہ دور کا ہی ہو - اور دور وہ ہوتا ہے جسے محبت دور کر دے ، خواہ رشتہ قریب کا ہی ہو - جیسا کہ جسم کے لیے ہاتھہ سے زیادہ کوئی چیز نزدیک نہیں ہوتی، لیکن جب ہاتھہ ناکارہ ہو جاۓ تو اسے کاٹ کر جسم سے علیحدہ کر دیا جاتا ہے "

یکم شعبان ۔ 
جشنِ ظہورِ ملکہء حیا بی بی زینب سلام اللہ علیھا 
تمام مومنین کو بہت بہت مُبارک